Mehboob-e-Rabb-e-Akbar tashreef la rahe hain Aaj Ambiya ke sarwar tashreef la rahe hain
Kyun hai faza mu'attar! Kyun roshni hai ghar ghar Achha! Habib-e-Dawar tashreef la rahe hain
Eidon ki eid aayi rahmat Khuda ki layi Jood-o-sakha ke paikar tashreef la rahe hain
Hoorein lagein tarane naaton ke gungunane Hoor-o-malak ke afsar tashreef la rahe hain
Aalam mein hain jo yakta, be-misl hain jo Aaqa Woh Aaminah tere ghar tashreef la rahe hain
Ae farshiyo mubarak ae arshiyo mubarak Donon jahan ke sarwar tashreef la rahe hain
Ae be-kaso mubarak ae be-baso mubarak Ab ghamzadon ke yaawar tashreef la rahe hain
Jhoomo ae bad-naseebo! Ho jaao khush gareebo! Dekho gareeb parwar tashreef la rahe hain
Kaisa hai pyara manzar rangeen-o-rooh parwar Har ek se haseen-tar tashreef la rahe hain
Rahmat baras rahi hai har samt roshni hai Dekho mah-e-munawwar tashreef la rahe hain
Ae be-nawaao aao, aao gadaao aao Woh Aaminah ke ghar par tashreef la rahe hain
Teri Haleema dai taqdeer muskuraayi Mehboob-e-Haq tere ghar tashreef la rahe hain
Ummat ke naaz uthane ummat ko bakhshwane Allah ke payambar tashreef la rahe hain
Aaj az-paye wiladat jee haan milegi jannat Mukhtar-e-khuld-o-Kauthar tashreef la rahe hain
Khud chal ke manzil aaye aakar gale lagaye Bhatke hueon ke rahbar tashreef la rahe hain
Waqt-e-wiladat aaya hai shor-e-marhaba ka Donon jahan ke sarwar tashreef la rahe hain
Shaitan ki aayi shamat kyun door ho na zulmat Haan haan Arab ke khawar tashreef la rahe hain
Kisra ka qasr-e-shaq hai shaitan ka rang faq hai Dekho! Rasool-e-Anwar tashreef la rahe hain
Ta'zeem ke liye ab ae momino utho sab Aaram-e-jaan-e-muztar tashreef la rahe hain
Apna ghulam kehne, is ujde dil mein rehne Kab ae gareeb parwar tashreef la rahe hain
Uff! haye ghup andhera chamkane gor-e-teera Kab ae mah-e-munawwar tashreef la rahe hain
Ae tishnagaan-e-mahshar dekho karam ke paikar Kauthar ka le ke saghar tashreef la rahe hain
Badkaro! rakho himmat farmayenge shafa'at Dekho Shafee'-e-mahshar tashreef la rahe hain
Attar ab khushi se phoola nahin samata Duniya mein us ke sarwar tashreef la rahe hain