Meetha meetha hai mere Muhammad ﷺ ka naam Un pe laakhon karoron durood-o-salam
Waqt laaye Khuda jaayein darbaar par Aur khade ho ke rauz-e-Sarkar par Pesh mil kar karein hum durood-o-salam Meetha meetha hai mere Muhammad ﷺ ka naam
Wohi Hasani Husaini chaman ke hain phool Noor-e-Maula Ali ؑ jaan-e-Zehra Batool ؑ Jis ke nana Rasool-e-Khuda zi-maqam Un pe laakhon karoron durood-o-salam Meetha meetha hai mere Muhammad ﷺ ka naam
La-makaan ke bane hain wohi to makeen Jin ki na'lain ko choomein arsh-e-bareen Jo Khuda se hue arsh par ham-kalam Un pe laakhon karoron durood-o-salam Meetha meetha hai mere Muhammad ﷺ ka naam Shah-e-konain woh rooh-e-darain woh Fakhr-e-Hasnain woh ghous-e-saqlain woh Jis ke dar ka hai Hafiz bhi adna ghulam Un pe laakhon karoron durood-o-salam Meetha meetha hai mere Muhammad ﷺ ka naam Meetha meetha hai mere Nabi ji ka naam Meetha meetha hai mere Sayyidi ka naam Meetha meetha hai mere Murshidi ka naam Meetha meetha hai mere Aaqa ka naam Meetha meetha hai mere Madani ka naam Meetha meetha hai mere Mustafa ﷺ ka naam Meetha meetha hai mere pyaare ka naam