Main hoon sail main hoon mangta Ya Khawaja meri jholi bhar do
Haath barha kar daal do tukra Ya Khawaja meri jholi bhar do
Jo bhi sail aa jaata hai Mann ki muraadein pa jaata hai Main ne bhi daaman hai pasaara Ya Khawaja meri jholi bhar do
Sultan-e-Konain ka sadqa Maula Ali Hasnain ka sadqa Sadqa Khatoon-e-Jannat ka Ya Khawaja meri jholi bhar do
Mujh ko ishq-e-Rasool ata ho Khawaja nazar-e-karam se bana do Shah-e-Madinah ka deewana Ya Khawaja meri jholi bhar do
Rabb ki ibadat ki dushwari Aur gunaahon ki bimari Dono aafatein door hon Khawaja Ya Khawaja meri jholi bhar do
De do tum Attar ko Khawaja Sunnat ki khidmat ka jazba Har su deen ka baja de danka Ya Khawaja meri jholi bhar do