More ji mein hai kab se yeh aas Main dekhun Madinah tora din raat
Rahun main udaas din raat Main dekhun Madinah tora din raat
Be-kal manwa chain na paaye Yaad-e-Madinah pal pal aaye
Chali aaun Nabi ji ﷺ tore paas Main dekhun Madinah tora din raat
Us nagri ka paani Zam Zam Woh maati zakhmon ka marham
Dukhi ji ko na kar udaas More ji mein hai kab se yeh aas
Tori zaat jahan se aali Tu saari ummat ka waali
Har ik ka tujhe hai ehsaas Main dekhun Madinah tora din raat
Palkon se woh jaaliyan chuumun Parhun salaam khushi se jhumun
Rahun ban ke wahan main tori daasi Main dekhun Madinah tora din raat