Kis baat ki kami hai Maula ﷺ teri gali mein Dunya teri gali mein uqba teri gali mein
Jaam-e-sifaal us ka taaj-e-shehanshahi hai Aa jaye bhikari jo Daata teri gali mein
Deewangi pe meri hanste hain aql waale Teri gali ka rasta poocha teri gali mein
Sooraj tajalliyon ka hardam chamak raha hai Dekha nahi kisi din saaya teri gali mein
Maut aur hayaat meri dono tere liye hain Marna teri gali mein jeena teri gali mein
Amjad ko aaj tak hum adna samajh rahe the Lekin maqam us ka paaya teri gali mein