Ek tamanna hai, keh woh khwab-e-tamanna dekhun Jis ke har aks mein roshan teraؐ jalwa dekhun
Pesh-e-manzar teraؐ dar ho to meri aankh lage Aankh khul jaaye to har su teraؐ chehra dekhun
Baam-e-khwahish pe kisi aur ko kya dekhna hai! Dil to kehta hai faqat teraؐ sarapa dekhun
Dekhne ko koi had ho, to main batlaun bhi Haan magar yeh keh tujhe hiss se zyada dekhun
Teraؐ paikar meri aankhon mein mujassam ho jaaye Ae Shah-e-husn-o-wafa, main tujhe itna dekhun
Un zameeno pe bikhar jaaun main zarron ki tarah Jin zameeno pe teraؐ naqsh-e-kaf-e-pa dekhun