Ek baar Madine mein ho jaaye mera jaana Phir aur na kuch maange Sarkar ka deewana Pal pal mera dil tadpe din raat kare zaari Kab aaun Madine mein kab aaye meri baari Kab jaake main dekhunga darbaar woh shaahana Ek baar Madine mein ho jaaye mera jaana Is aas pe chalta hoon ek roz bulayenge Aur Gumbad-e-Khizra ka deedar karayenge Phir pesh karunga main ashkon bhara nazraana Ek baar Madine mein ho jaaye mera jaana Be-chain nigahon ko deedar ata kar do Daaman mera khushiyon se ya Shah-e-Umam bhar do Aabad Khuda rakhe Aaqa tera may-khaana Ek baar Madine mein ho jaaye mera jaana Itni si tamanna hai ho jaaye agar poori Ja dekhun Madina mein ho jaaye jo manzoori Bin deed kiye Shaha mar jaaye na deewana Ek baar Madine mein ho jaaye mera jaana Phir aur na kuch maange Sarkar ka deewana