Hua jaata hai rukhsat mah-e-Ramzan Ya RasoolAllah Raha ab chand ghariyon ka yeh mehman Ya RasoolAllah
Khushi ki lehar dori har taraf Ramzan jab aaya Hain ab ranjeeda ranjeeda musalman Ya RasoolAllah
Masarrat hi masarrat aur khushi hi thi khushi jis dam Nazar aaya hilal-e-mah-e-Ramzan Ya RasoolAllah
Shaha! ab gham ke maare khoon ke aansu bahate hain Chala tarpa ke haaye mah-e-Ramzan Ya RasoolAllah
Chala ab jald yeh Ramzan satayis aagayi tareekh Faqat do din ka ab Ramzan hai mehman Ya RasoolAllah
Fazayein noor barsatein hawayein muskurati thin Samaan ab hogaya har samt veeran Ya RasoolAllah
Riyazat kuch na ki hum ne ibadat kuch na ki hum ne Rahe bas har ghari mashghool-e-isyaan Ya RasoolAllah
Main haaye jee churata hi raha Rab ki ibadat se Guzara ghaflaton mein sara Ramzan Ya RasoolAllah
Main sota reh gaya ghaflat ki chadar taan kar afsos Khudara meri bakhshish ka ho saamaan Ya RasoolAllah
Judayi ki ghari jaan-soz hai usshaq-e-Ramzan par Chala in ko rula kar mah-e-Ramzan Ya RasoolAllah
Tarapte hain bilakte hain qarar aata nahi in ko Bahut be-chain hain usshaq-e-Ramzan Ya RasoolAllah
Gunahon ki siyahi chha rahi hai rukh pe mehshar mein Mira chehra paye Ramzan ho taabaan Ya RasoolAllah
Mah-e-Ramzan ki rukhsat jaan-e-ashiq par qayamat hai Gada tere hain hairan-o-pareshan Ya RasoolAllah
Khuda ke nek bande nekiyon mein lag gaye lekin Gunah karta raha Attar nadaan Ya RasoolAllah