Ho gaya fazl-e-Khuda mooye mubarak aa gaye Dil khushi se jhoom utha mooye mubarak aa gaye
Ae khusha salli 'ala mooye mubarak aa gaye Marhaba sad marhaba mooye mubarak aa gaye
Mustafa ke mooye aqdas aur mera ghurbat kadah Marhaba sad marhaba mooye mubarak aa gaye
Hum ghareebon ke muqaddar ko jagane ke liye Marhaba sad marhaba mooye mubarak aa gaye
Mujh zaleel-o-khwaar par badkaar-o-bad kirdar par Hai karam Sarkar ka mooye mubarak aa gaye
Noor ki barsaat hogi anqareeb ab zor-daar Abr-e-rehmat chha gaya mooye mubarak aa gaye
Ranj-o-gham kafoor honge hain ghamzadon ke aas ki hai Jo kare ta'zeem dil se do-jahan mein kamyab Ho gaya haan ho gaya mooye mubarak aa gaye
Apne Rab se maang lo donon jahan ki ne'matein Rehmaton ka dar khula mooye mubarak aa gaye
InshaAllah aarzoein aayengi bar-rubaru Maang lo aakar dua mooye mubarak aa gaye
Aao deewano! tum aao leke chashm-e-ashkbaar Un se un ko maangna mooye mubarak aa gaye
Naz'a rooh-o-qabr mein aur hashr ke maidan mein kaam Ban gaya Attar ka mooye mubarak aa gaye