Ho bayaan kis se tumhari shan-o-azmat Ya Rasul Jab tumhari khud Khuda karta hai midhat Ya Rasul
Jab bhi aata hai tera yaum-e-wiladat Ya Rasul Khoob hoti hai muyassar dil ko rahat Ya Rasul
Arsh par bhi saltanat hai farsh par bhi saltanat Dono aalam par tumhari hai hukumat Ya Rasul
Daulat-e-dunya ke peeche maara maara kyun phirun! Aap hi hain meri daulat aur sarwat Ya Rasul
Jo tadapte hain Madine ke liye Aaqa unhein Kaash! ho jaaye Madine ki ziyarat Ya Rasul
Lamha lamha barh rahi hain haaye! na-farmaniyan Aur gunahon ki nahin jaati hai aadat Ya Rasul
Kaash! hansne ke bajaaye mujh ko rona ho naseeb Aankh se behte rahein ashk-e-mohabbat Ya Rasul
Nekiyon mein Ya Rasoolallah dil lag jaaye kaash! Aur gunahon se mujhe ho jaaye nafrat Ya Rasul
Ya Nabi! be-kaar baaton ki ho aadat mujh se door Bas durood-e-paak ki ho khoob kasrat Ya Rasul
Aaminah ke laal! mujh ko deejiye soz-e-Bilal Maal-e-dunya se mujhe ho jaaye nafrat Ya Rasul
Rahmat-e-aalam sarhaane muskuraate aaiye Jaan-ba-lab hoon aa gaya ab waqt-e-rihlat Ya Rasul
Aapke qadmon mein gir jaaun ga fart-e-shauq se Qabr mein hogi mujhe jis dam ziyarat Ya Rasul
Naar-e-dozakh mein gira hi chahta tha main Nisar Apni rahmat se ata farmaai jannat Ya Rasul
Ya Shah-e-Abrar! de do khuld mein apna jawaar Az-pai-e-Ghausul Wara ho chashm-e-rahmat Ya Rasul
Nekiyan bilkul nahin hain naama-e-aamaal mein Keejiye Attar ki aakar shafa'at Ya Rasul