Ho ata apna gham, Tajdar-e-Haram Deejiye aankh nam, Tajdar-e-Haram
Keejiye shad-kaam, apna keh ke ghulam Jhoom jayenge hum, Tajdar-e-Haram
Maal bhi aal bhi, baal bhi khaal bhi Sadqay jaan-o-dilam, Tajdar-e-Haram
Tera khate hain hum, tera peete hain hum Tere Rab ki qasam, Tajdar-e-Haram
Aisa kar do sabab, bas utar jaaye ab Dil mein khaar-e-Haram, Tajdar-e-Haram
Yeh chamak yeh damak, yeh mahak yeh lahak Hai bahaar-e-qadam, Tajdar-e-Haram
Jo bhi maanga mila, marhaba marhaba Shaan-e-jood-o-karam, Tajdar-e-Haram
Ghar sajaate rahein aur manate rahein Eid-e-Milad hum, Tajdar-e-Haram
Eid-e-Milad mein, gaadein ge yaad mein Sabz pyara alam, Tajdar-e-Haram
Gungunaate rahein geet gaate rahein Umr bhar tere hum, Tajdar-e-Haram
Tere deewane sab, aaein su-e-Arab Dekhein saare Haram, Tajdar-e-Haram
Seena jalta rahe, dil machalta rahe Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Ya Rasool-e-Khuda, Sarwar-e-Anbiya Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Gham ki kaali ghata, ko shaha do hata Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Mehar-o-maah-e-mubeen, hai yeh arz-e-hazein Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Ya Nabi al-madad, ae Rasool al-madad Ho karam ho karam, Tajdar-e-Haram
Jalwa-e-yaar ho, qabr-e-Attar ho Kaash ho yeh karam, Tajdar-e-Haram