Har zarra-e-kainaat ka gardaan hai is liye Har lahza gungunaye fiza Naat-e-Mustafa ﷺ
Raah-e-talab mein ashk-e-rawaan hain zabaan khamosh Har saans ki magar hai sada Naat-e-Mustafa ﷺ
Ishq-e-Rasool, qasd-e-Madinah, vufoor-e-shauq Is kaarwaan ko baang-e-dara Naat-e-Mustafa ﷺ
Soz-o-tap-e-firaaq ki talkhi ka zikr kya Layi labon pe taaza hawa Naat-e-Mustafa ﷺ
Dil ko mila sukoon hui rooh mutma'in Har gham se le gayi hai wara Naat-e-Mustafa ﷺ
Bakhshish ko apni laya hoon ik nuskha-e-wafa Parhta uthunga roz-e-jaza Naat-e-Mustafa ﷺ