Haqeeqat aap ki haq jaanta hai Woh wahm-o-fahm se Aqa wara hai
Kuch aisa aap ko haq ne kiya hai Ke khud woh aap ka taalib hua hai
Buland itna tujhe haq ne kiya hai Ke arsh-e-haq bhi tere zer-e-pa hai
Jo auron ke ulu ki inteha hai Woh sarkari ulu ki ibtida hai
Khuda ki zaat tak to hi rasa hai Kisi ka bhi yeh aali martaba hai
Na hai tum sa na koi hoga aage Na aye Aqa koi tum sa hua hai
Malaik mein rusul mein ambiya mein Koi arsh-e-ala tak bhi gaya hai
Ta’ala Allah teri shaan-e-aali Jalaalat-e-shaan ki kya inteha hai
Nikali zawraq-e-khursheed doobi Isharay se qamar tukray kiya hai
Tumhein ho doosra mein sab se baala Bas ik Allah hi tum se siwa hai
Teri surat se hai haq aashkara Khuda bhati teri har har ada hai
Nahi ho sakta tujh se koi bahar Ke tu hi mubtada-o-muntaha hai
Tu hai noor-e-Khuda phir saaya kaisa Kahin bhi noor ka saaya para hai
Tu hai zill-e-Khuda wallah-billah Kahin saaye ka bhi saaya para hai
Zameen par tera saaya kaise parta Tera mansoob-e-arfa daima hai
Khuda ka fazl-e-azam aap par hai Sikha sab kuch tumhein haq ne diya hai
Na minnat tum pe ustadon ki rakhi Tumhara ummi hona mojza hai
Hatheli ki tarah pesh-e-nazar hai Hawa jo hoga jo kuch ho raha hai
Na koi raaz ho posheeda tum se Na koi raaz posheeda raha hai
Chupa tum se rahe kyunkar koi raaz Khuda bhi to nahi tum se chupa hai
Musallat ghaib par tu kyun na hota Nabi-o-Mujtaba-o-Murtaza hai
Teri marzi raza-e-haq hai Mawla Raza-e-haq teri marzi shaha hai
Guzar tera hua hai jo gali se Teri khushbu se har zarra basa hai
Duroodein tum pe haq ki hon hamesha Hamari haq se har dam yeh dua hai
Durood us par ho jis par haq duroodein Bahar lahza ba har dam bhejta hai
Salaam us par jo hai matloob Rabb ka Salaam us par jo mehboob-e-Khuda hai
Salaam us par yeh bahr-o-bar hain jis ke Salaam us par jo Shah-e-dawsara hai
Jis Aqa ke malaik hain salami Jo Shah-e-kursi-o-arsh-e-ala hai
Khuda ki saltanat ka jo hai dolha Salaam us par jo rehmat ka bana hai
Jise sang-o-shajar tasleemein karte Salaam us par jo aisa badshah hai
Salaam us par jo awwal hai rusul ka Salaam us par jo khatm-ul-ambiya hai
Salaam-e-awwal ka awwal par hamesha Salaam-e-baqi ho jab tak baqa hai
Salaam-e-aakhir ka aakhir par ho da’im Na bas alam hi tak jis ko fana hai
Salaam-e-zahir-o-batin ho us par Jo zahir ho ke batin ho gaya hai
Salaam aye jaan-e-rehmat kaan-e-niamat Salaam aye ke woh shaan-e-haq-numa hai
Rahe jalwa tumhara dil ke andar Mere pyare yeh dil ka mudda hai
Rahe pesh-e-nazar woh ru-e-anwar Tarasti aankhon ki yeh iltija hai
Sharab-e-deed se dil shad kijiye Hamare dard ki yeh hi dawa hai
Yahin hai be-thikanon ka thikana Yahin Shah-o-gada sab ka thiya hai
Dam-e-aakhir tu aaja jaan-e-Isa Hain saaqit nabzein ghungar bolta hai
Dam-e-aakhir chale aao khudara Dikha do marne wala ji raha hai
Tere qadmon mein jis ko maut aaye Hayaat-e-jawidan us ki qaza hai
Hata dijiye rukh-e-anwar se gesu Andhera qabr ka kali bala hai
Sungha dijiye hamhein woh zulf-e-mushkein Sifat mein jis ki wallail-e-saja hai
Dikha dijiye shaha pur-noor chehra Sifat mein jis ki wash-shams aur duha hai
Tere qurban aye zulf-e-muambar Hamare sar hajoom-e-bad-bala hai
Mere sar se balayein door farma Balaon mein yeh banda mubtala hai
Naheef-o-natawan Sarkar hum hain Bahut sabr-azma yeh ibtila hai
Pareshan hoon pareshani karo door Balaon mein yeh banda mubtala hai
Na kijiye door apne dar se hum ko Para rehne do jo dar par para hai
Shaheed-e-Karbala ka sadqa de de Tu shaha dafa-e-karb-o-bala hai
Pareshan hoon pareshani karo door Pareshan sa pareshan dil mera hai
Pareshani watan ki yaad karke Pareshan dil abhi se ho raha hai
Pareshani hai goona-goon watan mein Pareshan un ko farma do to kya hai
Yahan kyun kar na dil aaram paaye Jahan aaram-e-jaan-o-dil mera hai
Main ghar jaaun to un mein ghar na jaaun Yahan bas yeh tafakkur ho raha hai
Rumooz-e-maslihat Sarkar jaanein Agar wapas hi farmana bhala hai
Magar itni guzarish ki ijazat Yeh banda dast-basta chahta hai
Hamhein phir apne qadmon mein bulana Yahi Mawla Ta’ala se dua hai
Ke phir Sarkar ke qadmon mein laaye Yahin par marne jeene mein maza hai
Qayamat hai qayamat hai qayamat Jidhar dekho udhar mehshar bapa hai
Zameen tabne ki hai suraj saron par Tapish se bhejha sar mein kholta hai
Zara sa bhi nahi saaya kahin par Arq itna baha darya baha hai
Zabanein sookhi hain kaante jame hain Atash se haal abtar ho raha hai
Kaleje munh ko aaye dam ghatay hain Ulat kar dil gale mein aa raha hai
Sarapa koi to gharq-e-araq hai Kisi ke munh tak aakar reh gaya hai
Tarapta hai koi be-chain ho kar Koi gir kar zameen par lot-ta hai
Misal-e-mahi-e-be-aab koi Koi jal kar kabab-e-sokhta hai
Ajab hi kas-mupursi ka hai aalam Jise dekho bharakta bhaagta hai
Zan-o-sho mein nahi baqi ta’aruf Na bhai bhai ko pehchanta hai
Na koi aaj haami hai na yawwar Kahin kis se ke aisa maajra hai
Bure ahwal hain is roz uff uff Bahut ahwal-e-bah ka samna hai
Koi haanpe koi kaanpe karahay Koi rota koi chilla raha hai
Hai daro-geer ka hungama barpa Bahut sakht aafton ka samna hai
Rusul bhi nafsi nafsi keh rahe hain Himayat ka kise ab aasra hai
Bandhay gi aas apni ba’d-e-har yaas Usi se jo hamara aasra hai
Usi ke paas sab pahunchein ge aakhir Woh jis ka naam-e-naami Mustafa hai
Shafa’at ka usi ke sar hai sehra Wohi is bazm ka dolha bana hai
Chalo aye aasiyo kyun kurh rahe ho Woh mehboob-e-Khuda jalwa-numa hai
Malool aye gham-zada tum kis liye ho Woh pyara Mustafa jab gham-zuda hai
Sunein ge sunne wale izhaboo ke Zaban-e-pak par inni laha hai
Mazaalim kar lein jitne howein zalim Na kar gham Noori apna bhi Khuda hai





