Haq Allah Haq Allah Haq Allah Haq Allah
Ae mujahid-e Nabi naat gungnaaye ja Naghma-e Muhammadi jhoom kar sunaaye ja Do jahaan pe chaaye ja do jahaan pe chaaye ja Darb-e haqq lagaaye ja darb-e haqq lagaaye ja
Haq Allah Haq Allah Haq Allah Haq Allah
Parcham-e Nabi utha le Khuda ka aasra Faiz-e-Murshidi hai yeh haq pe zindagi lataa Haq pe jaan lataaye ja darb-e haqq lagaaye ja
Haq Allah Haq Allah Haq Allah Haq Allah
Baat kar to baad mein pehle to salaam kar Jo tere buzurg hain unka ehteraam kar Un se faiz paaye ja darb-e haqq lagaaye ja
Haq Allah Haq Allah Haq Allah Haq Allah
Shukr kar Khuda ka to tujh ko yeh watan mila Paak sar zameen mili aur yeh chaman mila Sar ko to jhukaaye ja darb-e haqq lagaaye ja
Haq Allah Haq Allah Haq Allah Haq Allah
Jhooth bolna nahin tum kabhi zuban se Laanat-e Khuda hai yeh dekh lo Quran se Sach ke geet gaaye jaaye darb-e haqq lagaaye ja
Haq Allah Haq Allah Haq Allah Haq Allah
Apne murshidi ka dil is tarah se shaad kar Jo sabaq mile tujhe dil laga ke yaad kar Un se faiz paaye ja darb-e haqq lagaaye ja
Haq Allah Haq Allah Haq Allah Haq Allah
Aaye Ramzan jab rozon ka ehtimam kar Kha to Rab ka ni'matein zikr us ka aam kar Zikr to sunaaye ja darb-e haqq lagaaye ja
Aarzoo ki hai dua aur rahe sukhi sada Mehrban Aqa ho aur karam kare Khuda Madni rang mein rangta ja darb-e haqq lagaaye ja
Haq Allah Haq Allah Haq Allah Haq Allah