We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Hai Aaj Jashan e Wiladat

Hai aaj jashn-e-wiladat Nabi ki aamad hai Jalao sham-e-mohabbat Nabi ki aamad hai


Jahan mein bajti hai naubat Nabi ki aamad hai Sunao sab ko bisharat Nabi ki aamad hai


Hui Khuda ki inayat Nabi ki aamad hai Sajaye taj-e-shafa'at Nabi ki aamad hai


Gulon pe chha gayi nuzhat Nabi ki aamad hai Chaman mein phaili hai nikhat Nabi ki aamad hai


Hai ek ajab si farhat Nabi ki aamad hai Dilon pe taari masarrat Nabi ki aamad hai


Na kyun ho wajd mein qismat Nabi ki aamad hai Nahi khushi ki nihayat Nabi ki aamad hai


Ilahi! kar loon ziyarat Nabi ki aamad hai Ata ho chashm-e-baseerat Nabi ki aamad hai



More Lyrics, Less Storage - Install the App and Ditch the Screenshots!

Get it on Google Play


Hai khoob barish-e-rehmat Nabi ki aamad hai Nahalo pao ge barkat Nabi ki aamad hai


Hua hai wa dar-e-rehmat Nabi ki aamad hai Khuda se mang lo jannat Nabi ki aamad hai


Baraye rushd-o-hidayat Nabi ki aamad hai Sunane neki ki dawat Nabi ki aamad hai


Adu pe chhayi hai haibat Nabi ki aamad hai Mili hai khaak mein nakhwat Nabi ki aamad hai


Buton ki aa gayi shamat Nabi ki aamad hai Mite gi kufr ki zulmat Nabi ki aamad hai


Khushi ki aa gayi sa'at Nabi ki aamad hai Manao jashn-e-wiladat Nabi ki aamad hai


Sajao ghar ko charaghan karo mahalle mein Manao jashn-e-wiladat Nabi ki aamad hai


Machao dhoom sabhi Marhaba ke naaron ki Manao jashn-e-wiladat Nabi ki aamad hai


Saja do kucha-o-bazaar sabz jhandon se Manao jashn-e-wiladat Nabi ki aamad hai


Pukaro zor se diwano! Ya RasoolAllah Mile gi qalb ko rahat Nabi ki aamad hai


Utho adab se salat-o-salam parhte hain Ab aaya waqt-e-wiladat Nabi ki aamad hai


Parho salam karo doob kar mohabbat mein Durood-e-paak ki kasrat Nabi ki aamad hai


Karam ke dar hain khule jhoom kar barasti hai Khudaye paak ki rehmat Nabi ki aamad hai


Karo Khuda se duayein na ho gi mayusi Khula hai bab-e-ijabat Nabi ki aamad hai


Hai shaad shaad musalman magar adu na-khush Hai tooti us pe qayamat Nabi ki aamad hai


Juloos-e-jashn-e-wiladat mein naat ki dhoomein Machao hai yeh sa'adat Nabi ki aamad hai


Khushi se aaj to lauton ga khoob machlon ga Jahan mein mah-e-risalat Nabi ki aamad hai


Ghar Amina ke chalo chal ke arz karte hain Hamein ho bheek inayat Nabi ki aamad hai


Ae ghamzado! ho mubarak ke gham ghalat honge Mile gi ab tumhein rahat Nabi ki aamad hai


Khushi se phole samate nahi hain ushshaq aaj Hai chhayi rukh pe bashashat Nabi ki aamad hai


Karo gunahon se tauba to khush Khuda ho ga Bahao ashk-e-nadamat Nabi ki aamad hai


Ilahi! jashn-e-wiladat ka wasita hum ko Azab se de bara'at Nabi ki aamad hai


Barha ke kasa-e-dil aaj mang lo mangto Tum un se un ki mohabbat Nabi ki aamad hai


Na mangne mein kasar sailo koi rakhna Jo chaho mang lo ni'mat Nabi ki aamad hai


Sabhi Nabi safein bandhe khare hain Aqsa mein Hui baraye imamat Nabi ki aamad hai


Andheri gor mein ghabrao mat gunahgaro Lo kar lo tum bhi ziyarat Nabi ki aamad hai


Jo khush naseeb hain woh apne Rab ki rehmat se Piyein ge deed ka sharbat Nabi ki aamad hai


Gunah garo lipat jao aaj qadmon se Karam se pao ge jannat Nabi ki aamad hai


Andhera ghup tha chaka chaund ho gayi yak dam Bifazlihi meri turbat Nabi ki aamad hai


Karam ki barishein hon gi ae mujrimo tum par Zara bhi aaj daro mat Nabi ki aamad hai


Farishtagan-e-azab ab to chor do mujh ko Hui baraye shafa'at Nabi ki aamad hai


Lipat ke daman-e-rehmat se qabr mein Attar Nikalo aaj to hasrat Nabi ki aamad hai

Instant Access to Thousands of Lyrics - Tap to Install!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah