Bi-hamdillah Abdullah ka noor-e-nazar aaya Mubarak Aamina ka noor-e-dil lakht-e-jigar aaya
Yeh Abdul Muttalib ki khoobi-e-qismat ke un ke ghar Chiragh-e-laamakaan kown-o-makaan ka taajwar aaya
Woh khatm-ul-Anbiya tashreef farma hone wale hain Nabi har ek pehle se sunata yeh khabar aaya
Rabi-ul-pak tujh par Ahle-Sunnat kyon na qurban hon Ke teri barahwin tareekh woh jaan-e-qamar aaya
Huye jab jalwa farma Shah-e-Zeeshan bazm-e-dunya mein Har ek qudsi falak se bahr-e-pabosi utar aaya
Jhuka jata hai sajde ke liye is waste Kaba Ke masjood-e-malaik aaj is mein jalwa gar aaya
Na kyon tanha kare farmanrawai haft kishwar par Ke hamrahi mein apni le ke woh fath-o-zafar aaya
Kahanat mit gayi bilkul ke ab woh mukhbir-e-Sadiq Bi-fadlillah ek ek baat ki dene khabar aaya
Uloom-e-awwaleen-o-aakhireen hain jis ke seene mein Khabar hai zarra zarra ki jise woh ba-khabar aaya
Nifaq-e-jahiliyat se kaho ab munh chupa baithe Qabail ko woh karne ke liye sheer-o-shakar aaya
Shab-e-milad-e-aqdas thi musarrat zarra zarra ko Magar Iblees apne saathiyon mein noha kar aaya
Zameen boli ke but-khane se paak-o-saaf hoti hoon Nida Kaba se uthi ab mera maqsood bar aaya
Gunahgaro kidhar ho fard-e-isyan apni dho daalo Rasool-Ullah ka darya-e-rehmat josh par aaya
Chalo ae mufliso jo aaj mango ge woh pao ge Ke sadqa baantta arz-o-sama ka taajwar aaya
Hukumat aisi naafiz hai ke un ka hukm paate hi Ali ke waste maghrib se sooraj laut kar aaya
Diya hukm-e-huzoori jis ghari Sarkar-e-Wala ne Zameen ko cheerta sajda-kunan foran shajar aaya
Kaho har roz kitni baar tum yaad us ki karte ho Khayal-e-ummat-e-aasi jise aathon pehar aaya
Yeh keh uthoon woh meri qabr mein jab jalwa farma ho To hat ja zulmat-e-marqad ke woh jaan-e-qamar aaya
Wahabi mehfil-e-aqdas mein gar aaye to yon samjho Ke insaanon mein kafri bojh laade jaise khar aaya
Jameel-e-Qadri jab sabz gumbad un ka dekhon ga To samjhon ga meri nakhl-e-tamanna mein samar aaya