Ae shahr-e-Madinah tera kehna kya hai Tera saare shahron se rutbah bara hai
To afzal hua is liye shahr-e-Tayyibah Mili tujh ko nisbat-e-Habib Khuda hai
Teri shan hai saari jag se nerali Hai tujh pe bana roza-e-Mustafa hai
Hai jag sara aashiq tera shahr Tayyibah Falak par bhi charcha ae Tayyibah tera hai
Qadam choome Aqa ke to shahr-e-Tayyibah Isi waaste tera rutbah bara hai
Teri saari galiyan noorani noorani Bazaar haraq noorani tera hai
Saaqib ka Maula ho Madfun Madinay Tujhe se Ae Maula yehi ek dua hai