Ae sabz gumbad wale manzoor dua karna Jab waqt-e-naz'a aaye deedar ata karna
Ae noor-e-Khuda aa kar aankhon mein sama jaana Ya dar pe bula lena ya khwab mein aa jaana Ae parda nasheen dil ke parde mein raha karna Jab waqt-e-naz'a aaye deedar ata karna
Main qabr andheri mein ghabraunga jab tanha Imdad meri karne aa jaana Rasool Allah Roshan meri turbat ko lillah zara karna Jab waqt-e-naz'a aaye deedar ata karna
Had koi nahi dekho Sarkar ki rehmat ki Sab par hi karam karna fitrat hai Muhammad ki Hum par bhi karam karna bas khwab mein aa jaana Jab waqt-e-naz'a aaye deedar ata karna
Tere se ziya paayi in chand sitaron ne Us dar se shifa paayi dukh dard ke maaron ne Aata tumhein shaha mushkil se raha karna Jab waqt-e-naz'a aaye deedar ata karna
Mehboob-e-Ilahi sa koi na haseen dekha Yeh shan-e-karam un ka saya bhi nahi dekha Allah ne saye ko chaha na juda karna Jab waqt-e-naz'a aaye deedar ata karna
Mujrim hoon zamane ka mehshar mein bharam rakhna Ruswaye zamana hoon kamli mein chupa lena Manzoor dua meri maqbool-e-Khuda karna Jab waqt-e-naz'a aaye deedar ata karna