Aankhon ka tara naam-e-Muhammad Dil ka ujala naam-e-Muhammad
Allahu Akbar Rabb-ul-Ula ne Har shay pe likha naam-e-Muhammad
Hain yun to kasrat se naam lekin Sab se hai pyara naam-e-Muhammad
Daulat jo chaaho dono jahan ki Kar lo wazeefa naam-e-Muhammad
Shaida na kyun hon is par musalman Rabb ko hai pyara naam-e-Muhammad
Allah wala dam mein bana de Allah wala naam-e-Muhammad
Salli ala ka sehra saja kar Dulha banaya naam-e-Muhammad
Nooh-o-Khaleel-o-Musa-o-Isa Sab ka hai Aaqa naam-e-Muhammad
Saare chaman mein laakhon gulon mein Gul hai hazara naam-e-Muhammad
Paayen muraadein dono jahan mein Jis ne pukara naam-e-Muhammad
Dono jahan mein duniya-o-deen mein Hai ik waseela naam-e-Muhammad
Momin ko kyun ho khatra kahin par Dil par hai kunda naam-e-Muhammad
Rakho lahad mein jis dam azizo Mujh ko sunana naam-e-Muhammad
Padhti duroodein daudengi hoorein Laasha jo le ga naam-e-Muhammad
Roz-e-Qayamat meezan-o-pul par De ga sahara naam-e-Muhammad
Poochhe ga Maula laya hai kya kya Main yeh kahun ga naam-e-Muhammad
Gham ki ghataein chhayi hain sar par Kar de ishara naam-e-Muhammad
Ranj-o-alam mein hain naam-lewa Kar de ishara naam-e-Muhammad
Bera tabahi mein aa gaya hai De de sahara naam-e-Muhammad
Zakhmi jigar par majrooh dil par Marham laga ja naam-e-Muhammad
Dil mein adawat kharke bhari hai Najdi na le ga naam-e-Muhammad
Apne Raza ke qurbaan jaaun Jis ne sikhaya naam-e-Muhammad
Aankhon mein aakar dil mein sama kar Rangat racha ja naam-e-Muhammad
Apne Jameel Qadri ke dil mein Aaja sama ja naam-e-Muhammad