Aamad-e-Mustafa marhaba marhaba jalwa-e-haq numa marhaba marhaba Aamad-e-Mustafa marhaba marhaba jalwa-e-haq numa marhaba marhaba
Aap ke dam se duniya se zulmat chhati Noor phaila zamane mein rehmat bati
Aasiyon ko bakhshish ka muzhda mila Aamad-e-Mustafa marhaba marhaba jalwa-e-haq numa marhaba marhaba
Eid se baala-tar eid-e-milad hai Har gunahgar masroor-o-dilshad hai
Har zabaan par hai naghma sallay-ala Aamad-e-Mustafa marhaba marhaba jalwa-e-haq numa marhaba marhaba
Dhoom sallay-ala ki machi chaar su Noor-e-rehmat ki barish hui ko-ba-ko
Aaj jahan hain Habib-e-Khuda Aamad-e-Mustafa marhaba marhaba jalwa-e-haq numa marhaba marhaba
Hoorein dene mubarak hain aayi sabhi Saath gajray duroodon ke laayin sabhi
Rashk-e-jannat hai ghar Aamina ka bana Aamad-e-Mustafa marhaba marhaba jalwa-e-haq numa marhaba marhaba
Aaj raqsaan khushi mein hai saara jahan Shehar-e-Makkah bana aaj rashk-e-jinan
Yeh hain kehte malaik sabhi ja-ba-ja Aamad-e-Mustafa marhaba marhaba jalwa-e-haq numa marhaba marhaba
Aaj har ek aashiq ka dil shad hai Aaj har ghar mein hi bazm-e-milad hai
Aaj Hadi ke lab par bhi hai yeh sada Aamad-e-Mustafa marhaba marhaba jalwa-e-haq numa marhaba marhaba