Qalb-e-ashiq hai ab para para Alwida alwida aah! Ramzan
Kulft-e-hijr-o-furqat ne maara Alwida alwida aah! Ramzan
Tere aane se dil khush hua tha Aur zauq-e-ibadat barha tha Aah! ab dil pe hai gham ka ghalba Alwida alwida aah! Ramzan
Masjidon mein bahar aa gayi thi Jauq dar jauq aate namazi Ho gaya kam namazon ka jazba Alwida alwida aah! Ramzan
Bazm-e-iftar sajti thi kaisi! Khoob sehri ki raunaq bhi hoti Sab samaan ho gaya suna suna Alwida alwida aah! Ramzan
Tere deewane ab ro rahe hain Muztarib sab ke sab ho rahe hain Haaye ab waqt-e-rukhsat hai aaya Alwida alwida aah! Ramzan
Tera gham hum ko tarpa raha hai Atish-e-shauq bharka raha hai Phat raha hai tere gham mein seena Alwida alwida aah! Ramzan
Yaad Ramzan ki tarpa rahi hai Aansuon ki jhari lag gayi hai Keh raha hai yeh har ek qatra Alwida alwida aah! Ramzan
Dil ke tukre hue ja rahe hain Tere ashiq mare ja rahe hain Ro ro kehta hai har ek bechara Alwida alwida aah! Ramzan
Hasrata maah-e-Ramzan ki rukhsat Qalb-e-ushaq par hai qayamat Kaun de ga unhein ab dilasa Alwida alwida aah! Ramzan
Koh-e-gham ashiqon par para hai Har koi khoon ab ro raha hai Keh raha hai yeh har gham ka maara Alwida alwida aah! Ramzan
Tum pe lakhon salam aah! Ramzan Alwida aah! aye Rabb ke mehman! Jao Hafiz Khuda ab tumhara Alwida alwida aah! Ramzan
Nekiyan kuch na hum kar sake hain Aah! isyan mein hi din kate hain Haaye! ghaflat mein tujh ko guzara Alwida alwida aah! Ramzan
Wasta tujh ko meethe Nabi ka Hashr mein hum ko mat bhool jana Roz-e-mahshar hamein bakhshwana Alwida alwida aah! Ramzan
Jab guzar jayenge maah gyarah Teri aamad ka phir shor hoga Kya meri zindagi ka bharosa Alwida alwida aah! Ramzan
Maah-e-Ramzan ki rangeen fazaon! Abr-e-rehmat se mamlu hawaon Lo salam aakhiri ab hamara Alwida alwida aah! Ramzan
Kuch na husn-e-amal kar saka hoon Nazr chand ashk mein kar raha hoon Bas yahi hai mera kul asasa Alwida alwida aah! Ramzan
Haaye Attar-e-badkar kahil Reh gaya yeh ibadat se ghafil Is se khush ho ke hona rawana Alwida alwida aah! Ramzan
Saal-e-ayinda Shah-e-Haram tum Karna Attar par yeh karam tum Tum Madine mein Ramzan dikhana Alwida alwida aah! Ramzan