Allah Allah Allah hu la ilaha illa hu Barah Rabi-ul-Awwal ko woh aaya Dur-e-Yateem Maah-e-nubuwwat mehr-e-risalat sahib-e-khulq-e-azeem Nabi ji Allah Allah Allah hu la ilaha illa hu
Aamina bibi ke gulshan mein aayi hai taza bahaar Parhte hain sallallahu alaihi wa sallam aaj dar-o-deewar Nabi ji Allah Allah Allah hu la ilaha illa hu
Hamid-o-Mahmood aur Muhammad do jag ka sardar Jaan se pyara raaj dulara rehmat ki sarkar Nabi ji Allah Allah Allah hu la ilaha illa hu
Pyari surat hansta chehra munh se jharte phool Noor ka putla chand sa mukhda haq ka pyara Rasool Nabi ji Allah Allah Allah hu la ilaha illa hu
Kufr-o-shirk ki kaali ghataein ho gayin saari door Mashriq-o-maghrib dunya ke andar ho gaya noor hi noor Nabi ji Allah Allah Allah hu la ilaha illa hu
Jibrail aaye jhoola jhulane lori dein ghilman Soja soja rehmat-e-alam main tere qurban Nabi ji Allah Allah Allah hu la ilaha illa hu