Islam ka usool Koi maanta nahi Roza, namaz, hajj, zakat Jaanta nahi Ruye zameen pe aati na Jo Aamina ka laal
Koi Khuda-e-Pak ko pehchanta nahi Na kaliyan hi khilti, na gul muskurate Agar bagh-e-hasti ka maali na hota
Yeh sab hai mere Kamli wale ka sadqa Muhammad ﷺ na hote to kuch bhi na hota
Zameen, aasman, chand, taare na hote Yeh duniya ke rangeen nazare na hote Na ghunche chatakte na gul muskurate Na panchi hi wahdat ke naghme sunate Na gulshan mein aati yeh rangeen baharein
Barasti na rahmat ki jham jham fwahrein Gulon mein yeh rang-e-jamali na hota Muhammad ﷺ na hote to kuch bhi na hota Yeh sab hai mere Kamli wale ka sadqa Muhammad ﷺ na hote to kuch bhi na hota
Tufail-e-Muhammad ﷺ yeh duniya bani hai Unhi ke qadam se yeh dharti saji hai Paharon samandar yeh gulshan yeh sehra Yeh din raat yeh subh-o-shaam-o-sawera
Na aaghaz hota na anjaam hota Na Quran ka jaari farman hota Nishan tak duniya ka baqi na hota Muhammad ﷺ na hote to kuch bhi na hota Yeh sab hai mere Kamli wale ka sadqa Muhammad ﷺ na hote to kuch bhi na hota
Kahan phir yeh khilqat ki takhleeq hoti Kahan phir sadaqat ki tasdeeq hoti Yeh Aadam ka putla banaya na hota Nabi koi duniya mein aaya na hota Na Yaqoob, Yusuf na Isa na Musa
Na Dawood, Yahya na Nuh na Zakariya Nabuwat ka yeh silsila na hota Muhammad ﷺ na hote to kuch bhi na hota Yeh sab hai mere Kamli wale ka sadqa Muhammad ﷺ na hote to kuch bhi na hota
Kabhi khatm hota na daur-e-jahalat Badalti na hargiz zamane ki halat Na Ka'abe mein koi azaan-e-Bilali Buton se kabhi Ka'aba hota na khaali Na Allah-u-Akbar ki aati sadayein Agar na'ara-e-haq ka woh saathi na hota Khuda ka koi bhi pujari na hota
Na Allah-u-Akbar ki aati sadayein Na bandon ki maqbool hoti duayein Na aayat aati na Quran aata Na ummat ki bakhshish ka saaman aata Na ghar ghar mein Quran ki hoti tilawat
Na Allah ki koi karta ibadat Kahin par bhi zikr-e-Ilahi na hota Muhammad ﷺ na hote to kuch bhi na hota Yeh sab hai mere Kamli wale ka sadqa Muhammad ﷺ na hote to kuch bhi na hota
Khuda jaane kya hota mehshar mein Anwar Na aate jahan mein jo Maula ke dilbar Gunahgar dete tab kis ki duhai Na milti kabhi aasiyon ko rihayi Khataon pe aise bahut gurgurate
Zamane mein har samt rehta andhera Sada rehta tareekiyon ka basera Yeh sab hai mere Kamli wale ka sadqa Yeh sab hai mere Kamli wale ka sadqa Agar paida Maula ke dilbar na hote Yeh mehr-e-abu minbar munawwar na hote Yeh sab mere Kamli wale ka sadqa