Astaan-e Mustafa ke sab sitaaray noor-o-noor Masjid-e Nabawi ke yaaro sab nazaare noor-o-noor Jo Nabi ke saath letay hain mazaar-e-Paak mein Mere pyaare Mustafa ke wo sitaaray noor-o-noor Saath roozay ke juri hain jo bhi cheezein dosto Woh deewaarain noori noori aur minaar noor-o-noor Jitni bhi galiyan hain Tayyibah ki woh sari noor noor Aur shehar Tayyibah ke bazaar saare noor-o-noor Main ne jo din hain guzare Aaqa ke darbaar par Ghariyan sari noori noori din hain saare noor-o-noor Sach yeh poochho Tayyibah sara noori noori noori hai Balkeh us ke sab shajar aur hijr saare noor-o-noor Tayyibah ke jin zuro pe Thaqib Nabi laaye qadam Hashr ke din tak rahenge zarre saare noor-o-noor