Aap ﷺ khair-ul-bashar aap ﷺ khair-ul-wara Ae Rasool-e-Allah Khuda ! Marhaba Marhaba
Aap ﷺ sham-e-haram aap Shah-e-umam Aap ﷺ abr-e-karam hain Khuda ki qasam
Aap ﷺ shams-ud-duha aap ﷺ badr-ud-duja Aap ﷺ sadr-ul-ula aap ﷺ noor-ul-huda
Khak-e-pa aap ﷺ ki Sidrat-ul-Muntaha Ae Sarwar-e-Khuda ! Marhaba Marhaba
Ban gaya hai yehi ab wazifa mera Ae Sarwar-e-Khuda ! Marhaba Marhaba
Kijiye ab ata dard-e-dil ki dawa Ae Rasool ﷺ-e-Khuda ! Marhaba Marhaba