Libas hai phata hua ghubar mein ata hua Tamam jism-e-nazneen chid hua kata hua Yeh kaun zi-waqar hai, bala ka shah-sawar hai Ke hai hazar qatilon ke samne data hua
Yeh bil-yaqeen Hussain ؑ hai Nabi ka noor-e-ain hai Hussain ؑ hai Hussain ؑ hai Nabi ka noor-e-ain hai
Yeh kaun haq-parast hai, may-e-raza-e-mast hai Ke jis ke samne koi buland hai na past hai Udhar hazar ghat hai, magar ajeeb baat hai Ke ek se hazar ka bhi hosla shikast hai
Yeh bil-yaqeen Hussain hai, Nabi ka noor-e-ain hai Hussain hai Hussain hai, Nabi ka noor-e-ain hai
Hussain jiski sada La ilaha illallah Hussain jis ki ada La ilaha illallah Hussain jis ki sana La ilaha illallah Hussain jis ki dua La ilaha illallah Hussain hai Hussain hai, Nabi ka noor-e-ain hai
Jo dehakti aag ke sholon pe soya woh Hussain Jis ne apne khoon se alam ko dhoya woh Hussain Jo jawan bete ki mayyat par na roya woh Hussain Jis ne sab kuch kho ke phir bhi kuch na khoya woh Hussain
Hussain hai Hussain hai, Nabi ka noor-e-ain hai
Rasm-e-ushaq yahi hai ke wafa karte hain Ya'ni har haal mein haq apna ada karte hain Hosla Hazrat-e-Shabbir ka Allah Allah Sar juda hota hai aur shukr-e-Khuda karte hain
Hussain hai Hussain hai, Nabi ka noor-e-ain hai
Dalawari mein fard hai, bada hi sher-e-mard hai Ke jis ke dab-dabey se rang dushmanon ka zard hai Habib-e-Mustafa ﷺ hai yeh, mujahid-e-Khuda hai yeh Jabhee toh us ke samne, yeh fauj gard gard hai
Yeh bil-yaqeen Hussain hai, Nabi ka noor-e-ain hai Hussain hai Hussain hai, Nabi ka noor-e-ain hai
Imaan ki tauqeer kaha jata hai Quran ki tafseer kaha jata hai Batil ke samne jo kabhi jhuk na saki Us zaat ko Shabbir kaha jata hai
Hussain hai Hussain hai, Nabi ka noor-e-ain hai
Udhar sipah-e-Sham hai, hazar intezam hai Udhar hain dushmanan-e-deen, idhar faqat Imam hai Magar ajeeb shan hai ghazab ki aan baan hai Ke jis taraf uthi hai tegh bas Khuda ka naam hai
Yeh bil-yaqeen Hussain hai, Nabi ka noor-e-ain hai
Yeh jiski ek zarb se, kamal-e-fann-e-harb se Kayi shaqi giray hue tadap rahe hain karb se Ghazab hai tegh-e-do-sara ke ek ek waar par Uthi sada-e-al-amaan zaban-e-sharq-o-gharb se
Yeh bil-yaqeen Hussain hai, Nabi ka noor-e-ain hai
Aba bhi taar-taar hai, toh jism bhi fagaar hai Zameen bhi tapi hui falak bhi shola-baar hai Magar yeh mard-e-tegh-zan, yeh saf-shikan falak-fagan Kamal-e-sabr-o-tan-dehi se mehv-e-karzar hai
Yeh bil-yaqeen Hussain hai, Nabi ka noor-e-ain hai