Nazaara ho darbar ka Ghous-e-Azam Dikha neela gumbad dikha Ghous-e-Azam
Mujhe jaam-e-ulfat pila Ghous-e-Azam Rahoon mast-o-be-khud sada Ghous-e-Azam
Karam kijiye phir main Baghdad aaun Mere peer ka wasita Ghous-e-Azam
Mujhe apni chaukhat ka kutta bana lo Hamesha rahoon ba-wafa Ghous-e-Azam
Tere aastan ka hoon mangta guzara Hai tukdon pe tere mira Ghous-e-Azam
Gunahon ka baar apne sar par utha kar Phirun kab talak ja-ba-ja Ghous-e-Azam
Ilaaj-e-aakhir aye murshidi kab karenge! Gunahon ke bimaar ka Ghous-e-Azam
Gunahgar hoon gar azabon ne ghera To ho ga mira haye! kya Ghous-e-Azam
Nazar murshidi teri janib lagi hai Azabon se lena bacha Ghous-e-Azam
Jahan mein jiyun sunnaton ke mutabiq Madine mein ho khatima Ghous-e-Azam
Ho Attar ki be-sabab bakhshish aaqa Yeh farmayein Haq se dua Ghous-e-Azam