Mufti-e-Aazam bari sarkar hai Jabke adna sa gada Attar hai
Mufti-e-Aazam se hum ko pyaar hai InshaAllah apna beda paar hai
Mufti-e-Aazam Raza ka ladla Aur muhib-e-Sayyid-e-Abrar hai
Aalim-o-Mufti faqeeh-e-be-badal Khoob khush-akhlaq-o-bakirdar hai
Tajdar-e-Ahl-e-Sunnat al-madad Banda-e-dar bekas-o-nachar hai
Takht-e-shahi kya karun mere liye Taaj-e-izzat aap ki pairar hai
Aala Hazrat ka rahoon mein bawafa Istaqamat ki dua darkar hai
Aastane par khada hai ik gada Talib-e-ishq-e-Shah-e-Abrar hai
Muskura kar ik nazar gar dekh lo Meri sham-e-gham abhi gulzar hai
Mere dil ko shad farma deejiye Ranj-o-gham ki qalb par yalghar hai
Sayyidi Ahmed Raza ka wasita Tera mangta talib-e-deedar hai
Hoon gunahon ke maraz se neem jaan Dard-e-isyan ki dawa darkar hai
Haath phaila kar muradein maang lo Sailo un ka sakhi darbar hai
InshaAllah maghfirat ho jaye gi Aye wali! teri dua darkar hai
Khoob khidmat sunnaton ki main karoon Sayyidi teri dua darkar hai
Kaash Noori ke saghon mein ho shumar Yeh tamannaye dil-e-Attar hai