Mere khwab mein aa bhi ja Ghous-e-Azam Pila jaam-e-deedar Ya Ghous-e-Azam
Kabhi to ghareebon ke ghar koi phera! Hamari bhi qismat jaga Ghous-e-Azam
Kuch aisi pila do sharab-e-mohabbat Na utre kabhi bhi nasha Ghous-e-Azam
Hain zer-e-qadam gardanein Awliya ki Tumhara hai woh martaba Ghous-e-Azam
Hain saare wali tere zer-e-nageen aur Hai tu Sayyid-ul-Awliya Ghous-e-Azam
Madad kijiye aah! chaaron taraf se Main aafat mein hoon ghira Ghous-e-Azam
Bahaar aaye mere bhi ujre chaman mein Chala koi aisi hawa Ghous-e-Azam
Rahe shad-o-abad mera gharana Karam az-paye Mustafa Ghous-e-Azam
Dam-e-naz’a Shaitan na imaan le le Hifazat ki farma dua Ghous-e-Azam
Mureedeen ki maut tauba pe hogi Hai yeh aap hi ka kaha Ghous-e-Azam
Meri maut bhi aaye tauba pe Murshid! Hoon main bhi mureed aap ka Ghous-e-Azam
Karam aap ka gar hua to yaqeenan Na hoga bura khatima Ghous-e-Azam
Meri qabr mein "La-takhaf" kehte aao Andhera raha hai dara Ghous-e-Azam
Go Attar bad hai badon ka bhi sardar Yeh tera hai tera, tera Ghous-e-Azam