Ya Khuda meri maghfirat farma Bagh-e-Firdaus marhamat farma
Deen-e-Islam par mujhe ya Rabb Istaqamat tu marhamat farma
Tu gunahon ko kar muaaf Allah! Meri maqbool ma'zirat farma
Mustafa ka waseela tawba par Tu inayat mudawamat farma
Maut imaan pe de Madine mein Aur mehmood aaqibat farma
Tu sharaf zer-e-Gumbad-e-Khazra Mujh ko marne ka marhamat farma
Sarfaraz aur surkhru Mawla Mujh ko tu roz-e-aakhirat farma
Mushkilon mein mere Khuda meri Har qadam par muawanat farma
Mujh ko ’’qufl-e-Madinah‘‘ par ya Rabb Tu inayat mudawamat farma
Ya Khuda Madani qafilon par bhi Tu inayat mudawamat farma
Kash! chhorun na ’’Madani in'amaat‘‘ Tu inayat mudawamat farma
Ho na Attar hashr mein ruswa Be hisab is ki maghfirat farma