Qalb ko us ki ru'yat ki hai aarzoo Jis ko jalwa hai aalam mein har chaar soo Balkay khud nafs mein hai woh Subhanahu Arsh par hai magar arsh ki justuju
Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo
Arsh-o-farsh-o-zamaan-o-jihat ay Khuda Jis taraf dekhta hoon hai jalwa tera Zarray zarray ki aankh mein tu hi ziya Qatray qatray ki tu hi toh hai aabroo
Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo
Tu kisi ja nahi aur har ja hai tu Tu munazzah makaan se mubarra hai tu Ilm-o-qudrat se har ja hai tu koo ba koo Tere jalway hain har har jagah ay Afuww
Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo
Saaray aalam ko hai teri hi justuju Jinn-o-ins-o-malak ko teri aarzoo Yaad mein teri har ek hai soo ba soo Ban mein wehshi lagatay hain zarbaat-e-Hoo
Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo
Naghma-e-Subhan gulshan mein charcha tera Chehchehay zikr-e-Haq ke hain subh-o-masa Apni apni chehak apni apni sada Sab ka matlab hai wahid ke wahid hai tu
Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo
Tairaan-e-jinaan mein teri guftagu Geet teray hi gaatay hain woh khush-gulu Koi kehta hai Haq koi kehta hai Hoo Aur sab kehtay hain La shareeka lahu
Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo
Afu farma khata'ein meri ay Afu Shauq-o-taufeeq neki ki day mujh ko tu Jaari dil kar ke hardam rahay zikr-e-Hoo Aadat-e-bad badal aur kar naik Hoo
Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo
Khwaab-e-Noori mein aayain woh Noor-e-Khuda Buq'a-e-noor ho apna zulmat kadah Jagmaga uthay dil chehra ho pur-ziya Noori ki tarah shughl ho zikr-e-Hoo
Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo