Allah jalla jalalahu Teri shan amma nawala
Tere naam par ae mere Khuda, Mera dil fida meri jaan fida Meri zindagi teri justaju Allah jalla jalalahu
Meri rooh ki hai yahi ghiza Tera naam lab pe rahe sada Ise peeta jaaun main ku-ba-ku Allah jalla jalalahu
Hai dua ke aakhri saans tak Teri bandagi ka rahe nasha Hai teri raza meri aabroo Allah jalla jalalahu
Kabhi shan-e-lutf-o-ata mein tu Kabhi toote dil ki sada mein tu Hai yahan bhi tu hai wahan bhi tu Allah jalla jalalahu
Main gunahgar hoon ae Khuda Koi kaam nek na kar saka Main rahoon huzoor ke rubaru Allah jalla jalalahu
Nahi ho saka tera haq ada Tera rahm-o-fazl hai be-baha Sar-e-hashr reh jaaye aabroo Allah jalla jalalahu
Jo baroz-e-hashr hisab ho Mere daayein haath kitab ho Na sawal ho na jawab ho Allah jalla jalalahu