Allah mujhe Hafiz-e-Quran banade Quran ke ahkaam pe bhi mujh ko chala de
Hojaya kare yaad sabaq jald Ilahi Maula tu mera hafiza mazboot banade
Susti ho meri door uthoon jald sawere Tu madrase mein dil mera Allah! lagade
Ho madrase ka mujh se na nuqsan kabhi bhi Allah! yahan ke mujhe aadaab sikha de
Chutti na karoon bhool ke bhi madrase ki main Auqaat ka bhi mujh ko tu paband banade
Ustaad hoon maujood ya bahar kahin masroof Aadat tu meri shor machane ki mita de
Khaslat ho meri door shararat ki Ilahi Sanjeeda banade mujhe sanjeeda banade
Ustaad ki karta rahoon har dam mein itaat Maa baap ki izzat ki bhi taufeeq Khuda de
Kapre mein rakhoon saaf tu dil ko mere kar saaf Maula tu Madinah mere seene ko banade
Filmon se dramon se de nafrat tu Ilahi Bas shauq mujhe naat-o-tilaawat ka Khuda de
Main saath jamaat ke parhoon saari namazein Allah! ibadat mein mere dil ko lagade
Parhta rahoon kasrat se durood un pe sada main Aur zikr ka bhi shauq paye Ghous-o-Raza de
Har kaam shariat ke mutabiq mein karoon kaash Ya Rab tu muballigh mujhe sunnat ka banade
Main jhoot na boloon kabhi gaali na nikaloon Allah marz se tu gunahon ke shifa de
Main faltu baaton se rahoon door hamesha Chup rehne ka Allah! saleeqa tu sikha de
Akhlaq hoon achay mera kirdaar ho suthra Mehboob ka sadqa tu mujhe nek banade
Ustaad hoon, maa baap hoon, Attar bhi ho saath Yun Hajj ko chalein aur Madinah bhi dikha de