Salli ala nabiyyina salli ala Muhammad Salli ala shafee'ina salli ala Muhammad
Tum ho Khuda se kab juda noor-e-Khuda va ba-Khuda Aaina-e-Khuda numa salli ala Muhammad
Salli ala nabiyyina salli ala Muhammad
Ruye-Nabi hai wadh-dhuha zulf-e-Nabi hai jaan-faza Surmagin aankhein ma tagha salli ala Muhammad
Salli ala nabiyyina salli ala Muhammad
Naam-e-Muhammad aa gaya khoob mujhe maza mila Mil gaya lab se lab mera salli ala Muhammad
Salli ala nabiyyina salli ala Muhammad
Paai hayaat-e-jaawidan gham se mili use amaan Parhta hua jo mar gaya salli ala Muhammad
Salli ala nabiyyina salli ala Muhammad Mushaf-e-ruye-Mustafa saamne ho dam-e-naz' Har saans se uthe sada salli ala Muhammad
Salli ala nabiyyina salli ala Muhammad