Ya Nabi salamun alaika Ya Rasul salamun alaika Ya Habib salamun alaika Salawatullahi alaika
Ho mubarak ahl-e-isyaan Ho gaya bakhshish ka saamaan Aa gayi subh-e-bahaaran Ho gaya ghar ghar charaghaan
Ya Nabi salamun alaika Ya Rasul salamun alaika Ya Habib salamun alaika Salawatullahi alaika
Jashn-e-Milad-un-Nabi ﷺ hai Noor ki chadar tani hai Roshni hi roshni hai Har taraf yeh dhoom machi hai
Ya Nabi salamun alaika Ya Rasul salamun alaika Ya Habib salamun alaika Salawatullahi alaika
Wasta Ghaus-ul-Wara ka Hazrat Ahmad Raza ka Aur mere murshid piya ka Rukh badal do har bala ka
Ya Nabi salamun alaika Ya Rasul salamun alaika Ya Habib salamun alaika Salawatullahi alaika
Marz-e-isyaan ko mitana Nek mujh ko tum banana Rah-e-sunnat par chalana Apni ulfat mein gamana
Ya Nabi salamun alaika Ya Rasul salamun alaika Ya Habib salamun alaika Salawatullahi alaika
Qabr mein ho jabke aana Aap tashreef lana Chehra-e-roshan dikhana Gor-e-tira jagmagana