In nilta ya ruh-as-saba yawman ila ard-il-harami Balligh salami rawdatan fiha an-Nabiyyu-l-muhtaram
Ae baad-e-saba! agar tera sarzameen-e-haram tak ho to mera salaam us rauzah ko pohancha jis mein Nabi-e-Muhtaram tashreef farma hain
Man wajhuhu shamsu-d-duha man khadduhu badru-d-duja Man thatuhu nuru-l-huda man kaffuhu bahru-l-himam
Woh jin ka chehra-e-anwar mehr-e-neemroz hai aur jin ke rukhsaar-e-taaban maah-e-kaamil jin ki zaat noor-e-hidayat hai jin ki hatheli sakhawat mein darya hai
Quranuhu burhanuna faskhan li-adyanin madat Idh ja-ana ahkamuhu kulla-s-suhufi sar-al-adam
Un ka (laya hua) Quran hamare liye wazeh daleel hai jis ne maazi ke tamam adyaan ko mansookh kar diya jab is ke ahkaam hamare paas aaye to (pichle) saare saheefe madoom ho gaye
Akbaduna majruhatun min saifi hijri-l-Mustafa Tuba li-ahli baldatin fiha an-Nabiyyu-l-muhtasham
Hamare jigar zakhmi hain firaaq-e-Mustafa ki talwar se, khush naseebi us shehar ke logon ki hai jis mein Nabi-e-Muhtasham hain
Ya laytani kuntu kaman yattabi' nabiyyan 'aliman Yawman wa laylan da'iman warzuq kadhalika bi-l-karam
Kaash main us ki tarah hota jo Nabi ki pairwi ilm ke saath karta hai din aur raat hamesha ae Khuda isi tarah apne karam se nawaaz
Ya Rahmatan-lil-'alamina anta shafi'u-l-mudhnibin Akrim lana yawma-l-hazini fadlan wa judan wa-l-karam
Ae Rahmat-e-Aalam! Aap gunahgaron ke shafee hain hamein qayamat ke din fazl-o-sakhawat aur karam se izzat bakhshein
Ya Rahmatan-lil-'alamina adrik li-Zayni-l-'Abidina Mahbusi aydi-z-zalimina fi-l-mawkabi wa-l-muzdaham
Ae Rahmat-e-Aalam! Zain-ul-Abideen ko sambhalein woh zaalimon ke hathon mein giraftar hairani-o-pareshani mein hai